Sunday, March 11, 2012

bas wahi mujhe paoge


Bheed main jab shamil hoke
Gumsum se kahi  khoke
Jab tanha tum hojaoge
Bas wahi mujhe paoge

Raste raahen galliyo main jab
Musafir banke nikaljaoge
Jab Soch main doobkar tum muskuraoge
Bas wahi mujhe paoge

Ho khushiyon ki chaaya
Ya  gham ki ho aandhi
Jab apna koi paas chahoge
Bas wahi mujhe paoge

Sarsarati hui thandi hawa jab chu jayegi
Rim-jhim si boonde jab barkha sang aayengi
Mithi si muskan liye jab palkhe jhapkaoge
Bas wahi mujhe paoge

Manzil ki or badhte jana
Ho kitni bhi chattane unko paar kar jana
Jab manzil tak aajaoge
Bas wahi mujhe paoge

To kya hua agar manzil tak nahi pahuche
Nirash na hona dost-Jo apna tha hi nahi uspe kya rona
Na badh sako agar, beech raah ruk jaoge
Bas wahi mujhe paoge

Jab doston ke saath guzare lamhe sataenge
Jab wo nasamajh baatein, nadan mulakate, wo choti choti yadein taza ho jayengi
Ek saathi, humsafar ka jab saath chahoge , bas wahi mujhe paoge